*After amalgamation we are in new mode musibat hi musibat roj nayee musibat*
Instead of offering flexible system to customer service we faces this issue
1. ATM card issue by only base branch
Pahle kahi se bhi le sakte the
2 alerts verify incumbent karega ab baki employee to faltu ke liye hain
3. Nai bimari
Exceeding threshold transaction limit. 100 rs ka bhi hai to
incumbant verify karega
Jai ho
4. CC account cheque se payment 100 rs ka bhi hai to
incumbent verify karega
Ye chal sakta hai
5. Claps , pnb lens , eveda,DMS sab bimari hai kuch saving account eveda se process hoga ,kuch DMS se,kuch OOSA se,kuch TAB se baki sab BC center se
Karo beta decide kya karoge
6. Account kholne ke baad CKYC fir EKYC fir KYC fir UCIC
Ab decide kare account khole ki nahi
7. Loan account pnb lens me 200 page scan karke upload katiye fir hard copy bhi PLP bhejiye kyoki sara paper load nahi hua bahut sa coloum hai hi nahi
Ab ka karoge beta😃
8 . Sep me circular nikal kar PMS se marking ho gya 2 Quarter ka
Kahte hai ki PAF pure saal ka hota hai fir ye 6 mahine me saal ka performance check karne wala kya PNB ka hi koi hai ya kahi aur se hire kiya gya hai
Pata to chale hame PMS ka number kon de deta hai
Aaj tak PMS nahi khula lekin last date PAF sumbit karne ki sayad par ho gyi hai
Jai ho bhai
10 HRMS ki yo naiya hi dooby padi hai medical ka kuchh ata pata nahi
11. Din bhar applet java cookies temp se fursat nahi milta
12 ab to non personalized
dcard dena bhi band pata nahi atm card me naam nahi print hoga to ATM paise nahi nikalega
13 din bhar login logout
Jan tak ek achi customer balance puche utni der me logout ho jata hai pata nahi finacle to itti jaldi kyun rahti hai kahan ki train pakadni hoti hai ise
14 oss ki entry roj clear karo jaise aafat aa padi ho
15 ckYCR to kabhi chalta hi nahi aise chalta hai jaise koyle ka engine
16 aadhar authentication kaa to haal bahut hi bura hai poore din me ek baar chal jaye to bas kaleje me thandak pad jaye
17 unfreeze account online khul jaa raha hai customer ka ata pata nahi bank ki shakal dekhi hi nahi bank walon ko baad me pata chal pa raha hai are ye bhi hamara customer hai
Wah re wah mauj kar di ye software banane wale bade havy driver hai
18 Request time out cant reach this page compatibility ne to afat hi macha rakhi hai
19 mail to itna slow khulta hai ki mail pahunchne se pahle postman hi mail hath se pahuncha de
20 corporate net banking itni bhari hai ki employee ko khud samajh me nahi aati customer ko kya batayenge
21 DMS me ek account export kar liya to bas jeevan me bahut punya kama liya
22 PMS poratal to itne hain ki torch lekar khojo noncbs me
23.हम तुम्हें इतनी पोर्टल दे देंगे, इतने पोर्टल दे देंगे कि कन्फ्यूज हो जाओगे कि काम किस पर करें और काम का compliance किस पर दें।
Wah bhaiya wah jai ho banker ki sanyam banaye rakhe kaam karte rahe aur apne bank ko top par pahunchaye💐💐💐
......🙏
No comments:
Post a Comment